multiple thoughts

Muhabbaton k wo daway jawan huay jin p

‘jin p takya tha wohi pattay hawa dene lage’ (Maloom)

thaam lo barh k muhabbat ko ‘maloom’

k dunya baqadr e effort ha

———————————————————————————————–

wo naraz ha hamse k har lehza kamil nahi hun mein,


Rick and Morty – Manzoom

Rick and morty Season 3 Episode 7

haal ha jo maazi tha
mustaqbil jo haal hoga

paas chuta haqeeqat o sachai
kazb meeraj o ranai

Dajl mohtaram fil mehfil
murkh sadagi kehlai

dawa ha sabko justuju e haqeeqat
sach ko pohnchay tau pasand na aye

Duhrai phir wohi rudad
Jhoot phir bana manbaye meeraj

Jo thay gurayzan boriat e haqeeqat se
aaj tarsaan hain buund buund e sachai

sachai manind e aab e sada
sharbat na bujha sakay pyas

tazad e zaindagi jo yaad rakhay
kamyabi us k kadam chumay

 

You either die a hero, or live long enough to see yourself become the villain.

 

Bachpan aur jawani

Khushian jo han
Saraab han

Phir q yun ha
Yaqeen sa

Wasl jo ha arzi
Phir q yun ha
Intazar sa

Kuch miltay hi kho janay ka khauf jab daranay lagay… tau samjho bachpan guzar gaya
Kuch miltay hi aukat se bahir ho jayen tau samjho bachpan ha
Aur kuch b mil jaye ya lutt jaye tau tasalli rahay tau burhapay ki nishani b ha

Kuch logon k nazdeeq dhoka kha k sabar kar lenay ka naaam maturity ha.